100+ Best NFAK Lines - Urdu Poetry - Urdu Poetry

Latest

Express your feeling with World largest collection

Saturday 25 September 2021

100+ Best NFAK Lines - Urdu Poetry


NFAK Lines | 100+ Best NFAK Lines



Urdu Shayari – NFAK Lines


People read Sad Urdu and Hindi Shayari with great passion we have many good poets,. who wrote excellent  Sad Urdu poetry. if we look at sad Urdu poetry read and write in our culture. we are going to share with you Sad Urdu Shayari – Khushbo Urdu Poetry. Read the best Sad Urdu Shayari largest collection by categories like love shairy, sad Poetry…


Hairan Hun Iss Baat Par, 

Tum Kon Ho Kia Ho?

Hath Aoo To Butt,

Haath Naa Aoo to Khuda Ho 


 

Laakh Wo Guraizaa’n Hoon!

Laaakh Dushman e Jaaa’n Hoon!

Dil Ka Kia Karen Sahab?

Ham Unhee Pay Marty Hain


 

 

 

 

Teri Nazroo’n Ki Haqeeqat Ka Koi Mujh Sey poochy

Aaankh Ki Aaankh Hai, Paimany Ka Paimana

NFAK Lines

 

Dil Jis Sey Zinda Hai, Wo Tammana Tum He To Ho

Ham Jis Main Bas Rahy Hain, Wo Dunya Tum He To Ho

NFAK Lines

 

Yeh Dil He Tha Jo Seh Gaya

Wo Bat He Aici Keh gaya

Kehny Ko Phr Kia Reh Gaya

Ashkoo’n Ka Darya Beh Gaya


 

Dil Nahhee Lagta, Sehn e Gulshan Main

Tera veerana Yaad aaata Hai……………….!


 

Tuu Roz Roya Kary Chand Ratoo’n Main

Khuda Kary Tera Mery Baghair Jee Na Lagy

NFAK Lines

 

Aaaj Mil Kar Bhee Uss Ney Naaa Koi Bat Ki

Haey Majbooriyaa’n Mery Haalaat Ki


 

 

 

 

Aaankhain Uth Kar Jhukii  To Ada Ban Gaee

Aaankhain Jukh Kar Uthe To Dua Ban Gaee


 

Mera Naaam jin Laboo’n Par Kbhe Khailta Tha Barsoo’n

Meri Jaaan Main Wohee Hun, Mera Aitabaar Karna

NFAK Lines

 

Dunya Wichry Naiii Parwa

Dildaaar Naa Wichryy……!

NFAK Lines

 

 

 

Be Wafa Sey Bhee Payar Hota Hai

Yaar Kch Bhee Ho Yaar Hota Hai


 

Achi Soorat Ko Sanwany Ki Zaroorat Kia Hai

Sadgee Main Bhe Qayamat Ki Ada hoti Hai…....

NFAK Lines

 

Kafan Main Khud Ko Chupa Liya Hai,

K Tujh Ko Pardy Ki Ho Na Zehmat

Naqaab Apny Liye Bana Kar

Hijaab Tera utha RAha Hun


 

Yeh Hai Dunya Yahan Kitny Ahl e Wafa

Be Wafa Ho Gaey Daikhty Daikhty 


 

Khuda K Liye Chor Do Abh Yeh Parda

K Hain Ajj Ham Tum, Koi Ghair Nahee


 

Roz Ka Intezaar Kon Kary

Aaap Ka Aitabaar Kon Kary


 

Wo Bhee Apny Naa Huwey, Dil Bhee Gaya hathoon Sey

Aicy Aaany Sey To Behtar Tha, Naa Anaa Apkaa……

NFAK Lines

 

Inkii Masoomiyat Par Naa Jana

Inky Dhoky Main Hargiz Naa Aana

Loot Lety Hain Yeh Muskura Kar

In Ki Chaloo’n Sey ALLAH Bachaey


 

Wo Or Bhe Yaad Aa Rahy Hain

Main Jitna Unko Bhula Raha Hun


 

Kiya Dil Mera Nahee Tha Tumhara, Jawab Do

Barbaad Q Kiya Hy, Jawab Do……………………!


 

Yeh Jo Hichkiyaan Musalsal Mujhe Aaa Rahee Hain Aaalam

Koi Ly Raha Hai, Mera Naaam Chupky Chupky………………….

NFAK Lines

 

Aaap Aye Hain Ghareeb Khany Main

Sach To Yeh Hai, Mujhe Yaqeen Nahee

Aap K Rooh e Yasneen Ki Qasam 

Chand Bhe Aaap Sey khoobsurat Nahee


 

Maine Daikha Usyy Ibteda Ho Gaee

 Uss Ney daikha Mujhe Inteha Ho Gaee


 

 

 

Mery Jitny Bhee Yaar Thy

Sab Ney Hasb e Toufeeq Bewafai Ki

NFAK Lines

 


                           Jis Ka Dil Ham Ney Tora Tha

                   Jany Wo Keca Hoga


 

 

 

Muhabbat KAro To Adaab e Wafa Bhee Seekho


 

Rony K Liye Sirf Muhabbat He Nahee The

Gham Or Bhee Thy, Fasana Dil Ka he Nahee Tha


 

 Yeh Bhool Bhe Kia Bhool Hai

                                                                Yeh yaad Bhe Kia Yaad Hai

                                                Kch Bhee To Nahee Unki Muhabbat K Siwa Yaad


 

Tery Wady PAr kAhan Tak Mera Dil Fareb Khaey

Koi Aica KAr Bahana Meri Aas Toot JAey


 

Jahan Lut Gya Hai Sukoon e Dil

Ussi Rah Guzr Ki Talash Hai


 

 

 

ALLAH Na Milny K Bahany Thy Hazaaroo’n

Milny K Liye Koi Bahana He Nahee Tha

NFAK Lines

 

Khata e Muhabbat Ki Achi Saza Di

Mery Dil Ki Duniya Bana KAr Mitta Di

NFAK Lines

 

Rony K Loye Sirf Muhabbat He Nahee The

Gham Or Bhi Thy Dil Ka Fasana He Nahee Tha

NFAK Lines

 

 

 

Kahloos e Dil Sy Jo Ali Ka Naam Leta Hai

Wohee To Lazatain Umr e Tamam Leta Hai


 

Kiya Dil Mera Nahee Tha Tumhara, Jawab Do?

Barbad Q Kiya Hai Khudara Jawab Do….


 

Kiye Hain Kch Aicy Kara Dostoo’n Ney

K Ab Dushmanoo’n Ki Zarurat Nahee Hai

 

 

 

Teri Zulf Sy Dil Ko Yu’n Lagao Hai Jecy

Teri Zulf Nagan hai, Mera Dil Sapera Hai


 

Kia Tujh Ko Jahan Waly Sitamgar Nahee Kehty?

Kehty To Hain, Tery Munh Par Nahee Kehty…….

NFAK Lines

 

Tazkara Jbh Wafa Ka Hota Hai

Main Tumhari Misal Deta Hun

NFAK Lines

 

Jahan Tum Ney Chehry Sey Anchall Hataya

Waheen Ehl e Dil Ko Tamasha Banaya


 

Qayamat Ka Din Ayega Rafta Rafta

Mulaqat Ka Din Badalty Badalty


 

Teri Nazroo’n Sey Pee Hai Khuda Ki Qasam

Umar Sari Nashey Main Guzr Jaey Gi


 

 

 

Aik Nazar Murh K Daikhny Waly

Kia yeh Khairat Phr Nahee Honge?


 

Shab Bhar Hans K Guzar Li

Gham e Ishq Dil Sy Laga Liya

Mery Jazba e Shoq Ki Dad Dy

Main Har Imtehan Sey Guzr Gya

NFAK Lines

 

 

 

Lutf e Dozakh Bhi Hy, Lutf e Jannat Bhi

Haye Kia Cheez Hai Muhabbat Bhi


 

Main Ney Uss Ko Itna Dakha Jitna Daikha Jaa Skta Tha

Phr Bhi Akhir Do Aankhoo’n Sey Kitna Daikha Jaa Skta Tha

NFAK Lines

 

Dil LAgi Bhi Tery Dil Ko Naa Lagy

Tu Roz Roya Kry Uth Kar Chaand Ratoo’n Main

Khuda Kry Tera Mery Bgair Jee Na Lgy

NFAK Lines

 

 

 

Jay Tu Akhiyaa’n Dy Samney Nahee Rehna 

Ty Biba Sada Dil Mor Dy


 

Teri Zaat Ny Bana Di

Meri Zindagi Fasana


 

Kiven Mukhry Tu NAzraa’n Hatawan

Ky Tery Wichoo’n Rab Disda

Jee Krada Main Tenu Waikhee JAwan

K Tery Wichoo’n Rab Disda


 


Achi Soorat Ko Sanwarny Ki Zaroorat Kia Hai

Sadgi Main Bhi Qayamat Ki Ada Hoti Hai


 

Ishq Ko Roug Maar Dety Hain

Aqal Ko Souq Maar Dety Hain

Admi Khud Ba Khud Nahee Marta

Doosry Loug Maar Dety Hain


 

Lakh Vari Je KAro Dua

Ek War Na Vichry

Kisy Daa Yar Na Wichry


 

Teri Dil Lagi K Sadqy

Teri Sang Dili K Qurban

Mery Gham Py Hansny Waly

Tujhe Konsi Dua Du’n


 

Yeh Jo Halka Halka Suroor Hai

Teri Nazar Ka Qusoor Hai

K Sharab Peena Seekha Diya


 


 


Yeh Isq Nahee Asaa’n 

Bas Itna Samajh Lijiye

Aik Aag Ka Darya Hai

Or Doob k Jana Hai

 

Kehty Ho Mujhe IShq Ka Aafsana Chahiyee

Ruswaii Ho gee, Apko Sharmana Chahiyee

 

Dil Ki Aik Choti Si Kahani hai

Ap Sun LAin To Meharbani Hai

 

Husn Waly Wafa Nahee Krty

Ishq Waly Dagha Nahee Krty

Zulm Krna To In Ki Aaaadat Hai

Yeh Kisi Ka Bhala Nahee Krty

 

Yeh Dil He Tha Jo Seh Gya

Wo Bat Aici Keh Gya

Kehny Ko Phr Kia Reh Gya

Askoo’n Ka Darya Beh Gya

 

Main Naseeb Hun Kisi Or Ka 

Mujhe Mangta Koi Or Hai

 

Fareb e Nazar Hai

Nazar Ki Lagawat

 

Itni Qasmain Na Khaoo Ghbra Kar

Jaoo Ham Aitabar Krty Hain……….

 

Main To Is Wastey Chup Hun K Tamasha Na Bany

Tu Smajhta Hai Mujhe Tujh Sey Gila KCh Nahee

 

 

 

Jaam Par Jaam Peeny Sy Kia Faida

Rat Guzri To Sari Utar Jaey Ge

Teri Nazroo’n sy Pee ha

Khuda Ki Qasam Umar Sari Nashy Main Guzar Jaey Ge

 

Ham Hosh Bhi Apny Bhool Gaey

Emaaan Bhi Apna Bhool Gaey

Ik Dil He Nahee Uss Bazm Main Ham

Na Jaany Kia Kia Bhool Gaey

 

Dikhai Bhi Jo Na Dy 

Nazar Bhi Jo Aaa Raha Hai

Wohee Khuda Hai

Wohee Khuda Hai

 

Un Ko Bhool Jany Ka Dil Kahan Sy Laoo’n Main….

 

Mery Baad Phr Tum Naa Kisi Sy Pyar Krna……

 

 

 

Jo Bat The Unko kehny Ki

Wo Bat He Kehna Bhool Gaey

Ghairoo’n K Fasany Yad Rahy

Ham Apna Fasan Bhool Gaey

 

Mushkil Askoo’n Ko Chupana LAgta Hai

Dulhan Ka To Dil Diwana Lagta Hai

Pal Bhar Main Kecy Badalty Hain Rishty

Ab To Har Apna Baigana Lagta Hai

 

Marny Ki Dhamki Dy KAr Manany Ka Tareeqa Kahan Sy Seekha Hai

 

Main Jis Halat Sy Pohancha, Hashar Waly Bhi Pukar Uthy

Koi faryad Wala Aa Raha Hai, Rasta Dena

 

 

 

Raah Asaan Ho Gaee Hai

Jaan Pehchan Ho Gaee Hai

Phr Palat K Nigah Nahee Ayii

Tum Py Qurban Ho Gaaee Hai

 

Tera Zulm Nahee Hai Shamil Agar Meri Barbadi Main

Teri Aankhain Bheeg rahee Hain Q Mery Afsany Main

 

Muhabbat Ab Nahee Rahee Zamany Main

Ab Log Ishq Nahee Mazaq Krty Hain

 

Kitny Badal Gaey Hain Wo Halat Ki Tarah

Jbh Bhi Milty Hain Pehli Mulaqat Ki Tarah

 

Ibadatoo’n Ka Bhi Hargiz Sila Nahee Milta

Khuda K Bando Suno Ghor Sy

Khuda Ki Qasam Jisy Ali Nahee Milta 

Ussy Khuda Nahee Milta

 


Ainy Ki Nazar Na Lag Jaey Kaheen

Jaane Jaan Apna Sadq Utaara Kro

 

 

 

Saya Bhi Saath Jbh Chor Jaey

Aici Hai Tanhai, Aici Hai Tanhai

Sona Chahun, Sona Chaun Par Neend Na Aye

Aici Hai Tanhai

 

Hamary Daman Main To kantoo’n K Siwa Kch Bhi Nahee

Ap To Phooloo’n K Kahreedar Nazar Aty Hain

Hashar Main Kon Gawahi Meri Dy Ga Sahil

Sb Tumhary He Taraf Daar Nazar Aty Hain

 

Be Wafa Itna Ehsan  Kr Dy

Kam Sy Kam Ishq Ki Laaj Rakh Ly

Do Qadam Chal Ky Kandha To Dy Dy

Tery Aashiq KI Mayyat Uthe Hai

 

Lakh Wo Guraizaa’n Ho

Lakh Wo Dushman e Jaan Ho

Dil Ko Kia Kren Sahib

Ham Unhee Py Marty Hain

 

 

 

Hashar Hai Wahshat e Dil Ki Awargi

Ham Sy Poocho Muhabbat Ki Deewangi

Jo Pta Poochty Thy Kisi Ka Kbhi

Lapata Ho Gaey Daikhty Daikhty

 

Bholi Soorat Hai, Batain Hain Bholi

Dil Main Kch Hai, Magar Munh Main Kch Hai

Lakh Chehra Ho Chand Jeca

Dil K Kaaloo’n Sy ALLAH Bachaey

 

Be Wafa Sy Bhi Pyar Hota Hai

Yar Kch B Ho Yaar Hota Hai

 

Jis Sy Kia Tha Pyar

Ussi Ny Diye Hain Gham

Sach poochiye To Dil Ka Lagan Azab Hai

 

Ham Ko Ab Jhooti Tassali Na Dijiye

Gham Main Or Izafa Na Kijiye

Jis Sy Aankhoo’n Main Aaa Jaey Aansu

Wo Khushi Ly ham Kia Kren Gain

 

Agar Hai Jana To Jaen Lekin

Huzoor Itna Khayal Rakhen

K Hijr e Janaaa’n Main Ik Pal Pal

Gumaan Hota Hai Ik Sadi Ka

 

Jo Poocha K Kis Tarah Hoti hai Barish

Jabeen Sy Paseeeny Ki Boondain Gira Dee

Jo Poocha Kis Tarah Girti Hai Bijli

Nigahain Milai, Mila Kr Jhuka Dee

 

Sar Jhuka He Raha Duaaoo’n Main

Kbhi Tujhe Mnagny K Liye

Kbhi Tujhe Bhoolny K Liye

 

Sitam Gari K Tareeqy Sikhaey Jaty Hain

Haseen Banty Nahee Banaey Jaty Hain

 

Unki Mehfil Main Jbh Koi Jaey

Pehly Nazrain Wo Apni Jhukaey

Wo Sanam Jo Khuda Ban Gaey Hain

Unka Deedar Krna Mana Hai

 

 

 

Wo Bhi Apny Naa Hwa

Dil Bhi Gya Hathoo’n Sy

Aicy Aany Sy To Behtar Tha

Naa Ana Dil Ka

 

Zikr Ik Be Wafa Or Sitamgar Ka Tha

Ap Ka Aici Batoo’n Sy Ki Wasta 

Ap to Be Wafa Or Sitamgar Nahee

Ap Ny Kis Liye Munh Udher Kar Liya

 

Ishq Main Uljhainain pehli He Kam Na Thee

Or Paid Naya Dard e Sar Kr Liya

Log Darty Hain Qatiil Ki Parchai Sy

Ham Ny Qatil K Dil Main Bhi Ghar Kr Liya

 

Umar Janmoo’n Main Basar Ho 

Yeh Zaroori To Nahee

Har Shab e Gham Ki Sahar Ho 

Yeh Zaroori To Nahee

Neend To Dard K Bistar Py Bhi Aa Skti Hai

Teri Aaghosh Main Sar Ho 

Yeh Zaroori To Nahee

 

 

  

 

 

 

1 comment:

Bulbuly - Pictures said...

Salam Dear,

How you approved adsense on your blog. Please help me adsense reject my request. please sadqa jariye samjh kar help kardo this is my blog https://poetrykorner92.blogspot.com/