Aansu Shayari – New Aansoo Shayari _urdu poetry - Urdu Poetry

Latest

Express your feeling with World largest collection

Sunday, 13 October 2019

Aansu Shayari – New Aansoo Shayari _urdu poetry

Mere Hont Aese Silay Ke Phir

Mere Ham-Sukhn Ka Ye Hukam Tha Ke Kalam Us Se Mein Kam Karon
Mere Hont Aese Silay Ke Phir Meri Chup Ne Us Ko Rula Diya

Hayat Ik Mustaqil Gham Ke Siwa

Hayat Ik Mustaqil Gham Ke Siwa Kuch Bhi Nahi Shayad
Khushi Bhi Yaad Aati Hai Tu Aansu Ban Ke Aati Hai

Aansoo Na Chup Sake

Terei Tarah Tera Gham B Hmain Maat De Gya
Aankhian Tu Dhanp Li Mgar Aansoo Na Chup Sake

Wo Aansoon Ki Zuban

Wo Aansoon Ki Zuban Janta Na Tha Wasif
Muje Byan Ka Na Tha Hosla, Main Kya Krta

Muskarate Hoye Milta Hun

Muskarate Hoye Milta Hun Kisi Se Jo Zafar
Saaf Pehchan Liya Jata Hun Roya Hoya Main

Udas Hone Ka Koi Sabab Nahi Hota

Kabhi Kabhi Tu Chalak Parti Hai Yun Hi Aankhen
Udas Hone Ka Koi Sabab Nahi Hota

Barsat Ki Pehchan Nahi Hoti

Wo Tu Aesa Tha Ke Ik Aansu Girne Ki Bi Waja Pocha Karta Tha
Par Na Jane Kun Ab Usey Barsat Ki Pehchan Nahi Hoti

Is Shehr Ki Weraani Par

Khatam Hone Ko Hain Ashkon Ke Zakheray Bhi Jamal
Roye Kab Tak Koi Is Shehr Ki Weraani Par

No comments: