Intezar Shayari | Best Intezar Shayari | urdu poetry - Urdu Poetry

Latest

Express your feeling with World largest collection

Sunday, 13 October 2019

Intezar Shayari | Best Intezar Shayari | urdu poetry

Wo Na Aayen Gey

Jaanta Hai Ke Wo Na Aayen Gey
Phir Bhi Masroof-e Intezaar Hai Dil

Un Ke Anay Ke Baad

Un Ke Anay Ke Baad Bhi Jalib
Dair Tak Un Ka Intezaar Raha

Shayad Tum Aao

Shayad Tum Aao Main Ne Isi Intezaar Main
Ab Ka Baras Ki Eid Bhi Tanha Guzaar Di

Ik Raat Wo Gaya Tha

Ik Raat Wo Gaya Tha Jahan Baat Rok Ke
Ab Tak Ruka Hoya Hun Wahen Raat Rok Ke

Meri Wafa Kay Deep

Meri Wafa Ke Deep Wo Sar-e Sham Jalaye Ga
Khud Roshni K Bhnwar Mein Ulajta Hi Jaye Ga
Yun Raat Uski Sochne Mai Guzri Thi Is Tarah
Ke Subah Ka Soraj Kon Sa Pegham Laye Ga

Gar Nah Intezaar Karen

Koi Aaya Nah Aaye Ga Lekin
Kya Karen Gar Nah Intezaar Karen

Ham Ne Aksar Tumhari Rahon Mein

Ham Ne Aksar Tumhari Rahon Mein
Ruk Kar Apna Hi Intezzar Kia

Hasraton Ke Siwa Kuch Nahi

Mera Karnam-e Zindagi Meri Hasraton Ke Siwa Kuch Nahi
Ye Kia Nahi, Wo Hoa Nahi, Ye Mila Nahi, Wo Raha Nahi

No comments: