Urdu Ghazal Shayari and SMS - Urdu Poetry

Latest

Express your feeling with World largest collection

Sunday 15 September 2019

Urdu Ghazal Shayari and SMS



Urdu Ghazals

 Ghazal Shayari is one of the famous form of urdu poetry. We have a large collection of urdu ghazal poetry and sms by different poets covering every topic of life.....

Aa Gaya Tha Woh Khush Khesaal Pasand

آ گیا تھا وہ خوش خصال پسند
تھی ہماری بھی کیا کمال پسند
حیف! بد صورتی رویّوں کی
ہائے دل تھا مرا جمال پسند
کیوں بنایا تھا ٹِھیکرا دل کو
کیوں کیا ساغرِ سفال پسند
ٹھیک ہے میں نہیں پسند اُنہیں
لیکن اس درجہ پائمال پسند
سچ نہ کہیے کہ سچ ہے صبر طلب
لوگ ہوتے ہیں اشتعال پسند
ہاں مجھے آج بھی پسند ہے وہ
اس کو کہتے ہیں لازوال پسند
حلم ہے اہلِ علم کا شیوہ
جاہ والوں کو ہے جلال پسند
وصل کو ہجر ، ناگہانی موت
ہجر کو موسمِ وصال پسند

فکرِ دنیا نہیں! مجھے احمدؔ
اپنی مستی اور اپنی کھال پسند


Aa gaya tha wo khush khesaal pasand
Thi hamari bhi kya kamaal pasand
Haif bad-soorati rawayyoN ki
Haaye dil tha mera jamaal pasand
Kyun banaya tha Theekra dil ko
Kyun kiya saaghar e sefaal pasand
Theek hai main nahi pasand unhein
Lekin is darja paayemaal pasand??
Sach na kahiye K sach hai sabr talab
Log hote hain ishte’aal pasand
Haan mujhe aaj bhi pasand hai woh
Is ko kahte hain lazawaal pasand
Hilm hai ahl e ilm ka shewaa
Jaah walon ko hai jalaal pasand
Wasl ko hijr, naagehaani maut
Hijr ko mausam e wesaal pasand
Fikr e duniya nahi mujhe Ahmad
Apni masti aur apni khaal pasand




Mile Bina Hi Bichharne Ke Dar Se Laut Aaye

ملے بنا ہی بچھڑنے کے ڈر سے لوٹ آئے
عجیب خوف میں ہم اس کے در سے لوٹ آئے
نہ ایسے روئیے ناکامی_محبت پر
خوشی منائیے زندہ بھنور سے لوٹ آئے
یہ سوچتے ہوئے بیٹھے ہیں راہ میں رک کر
اُدھر تو گئے ہی نہیں تھے جدھر سے لوٹ آئے
لب اس کے سامنے تھے اور ہم نے چوما نہیں
سمجھ لو پاؤں اٹھے اور در سے لوٹ آئے
ابھی تو وقت ہے سورج کے ڈوبنے میں تو پھر
یہ کیا ہوا کہ پرندے سفر سے لوٹ آئے
کسی بھی طرح یہ دنیا نہ چھوڑ پائے ہم
کہ جب بھی نکلے تری رہ_گزر سے لوٹ آئے
پھر اس نے دیکھا کوئی تارا ٹوٹتے اک رات
پھر ایک روز مسافر سفر سے لوٹ آئے
مرے گزرنے کی افواہ ہی اڑا دے کوئی
کسے خبر کہ وہ جھوٹی خبر سے لوٹ آئے

Mile bina hi bichharne ke Dar se laut aaye Ajeeb khauf mein hum us ke dar se latu aaye
Na aise roiye naakaamii -e- muhabbat per Khushi manaaiye zinda bhanwar se laut aaye
Yeh sochte hue baithe hain raah mein ruk kar Udhar to gaye hi nahi the jidhar se laut aaye
Lab uske, saamne the aur hum ne chooma nahi Samajh lo paon uThay aur dar se laut aaye
Abhi to waqt hai suraj ke doobne mein to phir Ye kya hua K parinday safar se laut aaye
Kisi bhi tarah ye duniya na chhoR paye hum K jab bhi nikle teri rahguzar se laut aaye
Phir us ne dekha koi tara toot_te ek raat Phir ek roz musafir safar se laut aaye
Mere guzarne ki afwaah hi uRaade koi Kise khabar K woh jhooti khabar se laut aaye


Bujha Hai Dil To Gham E Yaar Ab Kahan Tu Bhi

Bujha hai dil to Gham e yaar ab kahan tu bhi Besaan e naqsh ba deewar ab kahan tu bhi
Baja K chashm e talab bhi hui tahee-keesa Magar hai rounaq e bazaar ab kahan tu bhi
Hamen bhi kar e jahaN le gaya hai dur bahut Raha hai dar-pa-e-aazaar ab kahan tu bhi
Hazar suratein ankhoN mein phirti rahti hain Meri nigaah mein har baar ab kahan tu bhi
Usi ko waada faramosh kyun kahein ae dil Raha hai saahab e kirdaar ab kahan tu bhi
Meri ghazal mein koi aur kaise dar aayye Sitam to yeh hai K ae yaar ab kahan tu bhi

Yeh Jo Deewanay Se Do Char Nazar Aate Hain

Yeh jo deewanay se do chaar nazar aate hain In mein kuchh saahab E israar nazar aate hain
Teri mehfil ka bharam rakhte hain so jate hain Warnaa yeh log to bedaar nazar aate hain
Door tak koi sitaaraa hai na koi jugnoo Marg E ummeed ke aasaar nazar aate hain
Mere daaman mein shararoN k siwa kuchh bhi nahi Aap phooloN ke khareedaar nazar aate hain
Kal jinhein chhu nahi sakti thi farishtoN ki nazar Aaj woh raunaq E baazaar nazar aate hain
Hashr mein kaun gawaahi meri dega ‘Saghar’ Sab tumhaare hi tarafdaar nazar aate hain

Daikh Masti Wajood Ki Meri

دیکھ مستی وجود کی میری
تا ابد دھوم مچ گئی میری
تُو توجہ اِدھر کرے نہ کرے
کم نہ ہو گی سپردگی میری
دل مرا کب کا ہو چکا پتھر
موت تو کب کی ہو چکی میری
اب تو برباد کر چکے، یہ کہو
کیا اسی میں تھی بہتری میری؟
میرے خوش رنگ زخم دیکھتے ہو؟
یعنی پڑھتے ہو شاعری میری؟
اب تری گفتگو سے مجھ پہ کھُلا
کیوں طبیعت اداس تھی میری
زندگی کا مآل اتنا ہے
زندگی سے نہیں بنی میری
چاند حسرت زدہ سا لگتا ہے
کیا وہاں تک ہے روشنی میری؟
اب میں ہر بات بھول جاتا ہوں
ایسی عادت نہ تھی، کہ تھی میری؟
میری آنکھوں میں آکے بیٹھ گیا
شامِ فرقت اجاڑ دی میری
پہلے سینے میں دل دھڑکتا تھا
اب دھڑکتی ہے بے دلی میری
کیا عجب وقت ہے بچھڑنے کا
دیکھ، رکتی نہیں ہنسی میری
خود کو میرے سپرد کربیٹھا
بات تک بھی نہیں سنی میری
تیرے انکار نے کمال کیا
جان میں جان آگئی میری
میں تو پل بھر نہیں جیا عرفان
عمر کس نے گزار دی میری
~~~~***~~~~
Daikh masti wajood ki mairi Ta-abad dhoom mach gayi mairi
Tu tawwajo idhar kare, na kare Kam na hogi supurdagi mairi
Dil mera kab ka ho chuka patthar Maut to kab ki ho chuki mairi
Ab to barbad kar chuke, ye kaho Kya isi meiN thi behtari mairi?
Mere khush-rang zakhm daikhte ho Ya’ani paRhtey ho shayeri mairi?
Ab teri guftugu se mujh pe khula KyuN tabiyat udaas thi mairi
Zindagi ka ma’al itna hai Zindagi se nahiN bani mairi
Chaand hasrat-zada sa lagta hai Kya wahaN tak hai roshni mairi?
Ab maiN har baat bhool jata hooN Aisi aadat na thi…K thi mairi?
Mairi aankhoN meiN aa ke baiTh gaya Shaam-e-furqat ujaaR di mairi
Pehle seene meiN dil dhaRakta tha Ab dhaRakti hai be-dili mairi
Kya ajab waqt hai bichaRney ka Daikh rukti nahiN hansi mairi
Khud ko maire supurd kar baiTha Baat tak bhi nahiN suni mairi
Tere inkaar ne kamaal kiya Jaan meiN jaan aa gayi mairi
MaiN to pal bhar nahiN jiya ‘Irfan’ Umr kis ne guzaar di mairi

Wo Humsafar Tha Magar Us Se Humnawaai Na Thi

ﻭﮦ ﮨﻤﺴﻔﺮ ﺗﮭﺎ ﻣﮕﺮ ﺍﺱ ﺳﮯ ﮨﻢ ﻧﻮﺍﺋﯽ ﻧﮧ ﺗﮭﯽ
ﮐﮧ ﺩﮬﻮﭖ ﭼﮭﺎﺅﮞ ﮐﺎ ﻋﺎﻟﻢ ﺭﮨﺎ ﺟﺪﺍﺋﯽ ﻧﮧ ﺗﮭﯽ
ﻣﺤﺒﺘﻮﮞ ﮐﺎ ﺳﻔﺮ ﺍﺱ ﻃﺮﺡ ﺑﮭﯽ ﮔﺰﺭﺍ ﺗﮭﺎ
ﺷﮑﺴﺘﮧ ﺩﻝ ﺗﮭﮯ ﻣﺴﺎﻓﺮ ﺷﮑﺴﺘﮧ ﭘﺎﺋﯽ ﻧﮧ ﺗﮭﯽ
ﻋﺪﺍﻭﺗﯿﮟ ﺗﮭﯿﮟ ، ﺗﻐﺎﻓﻞ ﺗﮭﺎ، ﺭﻧﺠﺸﯿﮟ ﺗﮭﯿﮟ ﺑﮩﺖ
ﺑﭽﮭﮍﻧﮯ ﻭﺍﻟﮯ ﻣﯿﮟ ﺳﺐ ﮐﭽﮫ ﺗﮭﺎ ، ﺑﮯ ﻭﻓﺎﺋﯽ ﻧﮧ ﺗﮭﯽ
ﺑﭽﮭﮍﺗﮯ ﻭﻗﺖ ﺍﻥ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺗﮭﯽ ﮨﻤﺎﺭﯼ ﻏﺰﻝ
ﻏﺰﻝ ﺑﮭﯽ ﻭﮦ ﺟﻮ ﮐﺴﯽ ﮐﻮ ﺍﺑﮭﯽ ﺳﻨﺎﺋﯽ ﻧﮧ ﺗﮭﯽ
ﮐﺴﮯ ﭘﮑﺎﺭ ﺭﮨﺎ ﺗﮭﺎ ﻭﮦ ﮈﻭﺑﺘﺎ ﮨﻮﺍ ﺩﻥ
صدﺍ ﺗﻮ ﺁﺋﯽ ﺗﮭﯽ ﻟﯿﮑﻦ ﮐﻮﺋﯽ ﺩﮨﺎﺋﯽ ﻧﮧ ﺗﮭﯽ
ﻋﺠﯿﺐ ﮨﻮﺗﯽ ﮨﮯ ﺭﺍﮦ ﺳﺨﻦ ﺑﮭﯽ ﺩﯾﮑﮫ ﻧﺼﯿﺮ
ﻭﮨﺎﮞ ﺑﮭﯽ ﺁ ﮔﺌﮯ ﺁﺧﺮ، ﺟﮩﺎﮞ ﺭﺳﺎﺋﯽ ﻧﮧ ﺗﮭﯽ

Wo hu-msafar tha magar us se hum-nawaai na thi
Ke dhoop chhaaNv ka aalam raha, judaai na thi
MuhabbatoN ka safar is tarah bhi guzraa tha
Shikasta dil the musaafir, shikasta-paayi na thi
Adavatein thiN, taghaful tha, ranjisheiN thiN bahut
BichhaRne wale mein sab kuchh tha be-wafaai na thi
BichhaRte waqt un aNkhoN mein thi hamari Ghazal
Ghazal bhi woh, jo kisi ko abhi sunaai na thi
Kise pukaar raha tha woh doobta hua din
Sadaa to aayi thi lekin koi duhaai na thi
Ajeeb hoti hai raah E sukhan bhi, dekh ‘Naseer’
WahaaN bhi aagaye aakhir, jahaaN rasaai na thi


Bayaan E Haal Mufassal Nahi Hua Ab Tak


بیانِ    حال    مفصّل   نہیں   ہوا   اب   تک
جو  مسئلہ تھا وہی  حل نہیں  ہوا اب   تک
نہیں رہا کبھی میں تیری دسترس سے  دور
مِری  نظر سے  تُو اوجھل نہیں  ہوا اب  تک
بچھڑ کے تجھ سے یہ لگتا تھا ٹوٹ جاؤں گا
خدا  کا  شکر   ہے  پاگل   نہیں  ہوا  اب  تک
جلائے رکھا ہے میں نے  بھی  اک چراغِ امید
تمہارا   در  بھی  مقفّل  نہیں   ہوا   اب  تک
مجھے  تراش  رہا  ہے  یہ  کون  برسوں  سے
مِرا    وجود    مکمل    نہیں     ہوا  اب  تک
دراز    دستِ    تمنّا    نہیں    کیا   میں   نے
کرم    تمہارا    مسلسل  نہیں ہوا   اب   تک

Bayaan E haal mufassal nahi hua ab tak Jo mas’ala tha wohi hal nahi hua ab tak
Nahi raha kabhi main teri dastaras se door Meri nazar se too ojhal nahi hua ab tak
BichhaR ke tujh se ye lagta tha tut jaunga Khuda ka shukr hai paagal nahi hua ab tak
Jalaye rakkha hai main ne bhi ek chiragh E umeed Tumhara dar bhi muqaffal nahi hua ab tak
Mujhe tarash raha hai ye kaun barson se Mera wajood mukammal nahi hua ab tak
Daraaz dast E tamanna nahi kiya main ne Karam tumhara musalsal nahi hua ab tak

No comments: