MUJHE BEHAD MOHABAT HAI
MUJHE BEHAD MOHABAT HAI
Teray qadmo ki ahat se
Teri haseen muskurahat se
Teri batoon ki khushbu se
Teri ankhon k jadu se
Teri dil kash adaon se
Teri qatil Aadaun se
MUJHE BEHAD MOHABAT HAI!
Teri rahon me rukne se
Teri palkon k jhukne se
Teray honton k hilne se
Sehar-o-sham hatton pe tera hi naam likhne se
Teray tesh-o-adawat se
Teri be-jaa shikayat se
Kahan tak kahun sanam mere
TERI HAR EK ADAT SE
MUJHE Behad MOHABAT HAI
Kabhi jo waqt par jaye
Kabhi jo waqt par jaye
Tumhein mujh se bicharna ho,
Tumhein waday se phirna ho
To beshak dair mat karna,
Mujay naraaz kar dena
Tum apna rukh badal lena,
Tum apni simt chal dena
Magar jab lot k ana,
Tumhein mitti k teelay par
Main shayad na dikhai dun,
Magar heran mat hona
Wahin do char qadmon par,
Mazaar-e-bekaraan hoga
Wahan ik phool rakh dena,
Aur ik shama jala dena
Aur apna rukh badal lena
Aur apni simt chal dena.
Ek gazal tere liye zaroor likhuga
Ek gazal tere liye zaroor likhuga
Behisaab us mein tera qasoor likhuga,
Toot gye bachpan k tere sare khiloony
Ab Diloon se khelna tera dastoor likhuga.
Raha ishq ka daava tujhe tamam umar
Wafa ki dehleez se tujhe mafroor likhuga.
Tera wajood mera wajood mujhe ek sa lage
Par tujhe main khud se bohat door likhuga.
Hay Zindagi Yeh Lamha Ji Lene De
Hay Zindagi Yeh Lamha Ji Lene De
Oh Pehle Se Likha Kuch Bhi Nahin
Roz Naya Kucch Likhti Hai Tu
Jo Bhi Likha Hai Dil Se Jiya Hai
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De,
Maasoom Si Hasi Bewaja Hi Kabhi
Hoton Pe Khil Jaati Hai
Anjaan Si Khushi Behti Huvi Kabhi
Saahil Pe Mil Jaati Hai
Yeh Anjaana Sa Darr Ajnabee Hai Magar
Khoobsurat Hai Ji Lene De
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De,
Dil Hi Mein Rehta Hai Aankhon Mein Behtha Hai
Kachcha Sa Ek Khwaab Hai
Lagta Sawal Hai Shayad Jawab Hai
Dil Phir Bhi Betaab Hai
Yeh Sukoon Hai To Hai
Yeh Junoon Hai To Hai
Khoobsurat Hai Ji Lene De
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De
Pehle Se Likha Kuch Bhi Nahin
Roz Naya Kucch Likhti Hai Tu
Jo Bhi Likha Hai Dil Se Jiya Hai
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De.
Wo apne chehre mein sau aaftaab rakhte hai
Wo apne chehre mein sau aaftaab rakhte hai
Isi liye to wo rukh pe nakaab rakhte hai,
Wo paas baithe to aati hai khushbu
Wo apne hothon pe khilta gulab rakhte hai,
Har ek waqt mein tumhi tum ho jaan-e-mohabbat
Hum apne dil mein kuch aisi kitab rakhte hai,
Jahan-e-ishq mein Sohni kahi dikhayi de
Hum apni aankh mein kitne Chenab rakhte hai,
Wo apne chehre mein sau aaftaab rakhte hai
Isi liye to wo rukh pe nakaab rakhte hai.
Apni Mohabbat Ki Akhri Shaam
Aakhri Shaam - Apni Mahobbat Ki
Yaad He Muje Wo Aakhri Shaam Apni Mahobbat Ki
Tute Khwab Aur Reh Gayi Tamanna Adhuri Chahat Ki,
Ki Yaad He Muje Rote Hue Usne Mera Hath Thama Tha
Aur Kar Rahi Thi Intezaar Wo Meri Aakhri Izazat Ki,
Najane Kyu Chahkar Bhi Hath Uska Me Chor Na Paaya
Usne Rote Hue Mujse Fir Ek Baar Jane Ki Riwayat Ki,
Chor Diya Hath Mene Uska Aur Fer Liya Nigaaho Ko Apni
Aur Karke Aankhe Band Dil Hi Dil Me Rab Se Sikayat Ki,
Le Liya Baaho Me Usne Muje Fir Ek Baar Aur Kaha Mujse
Yakeen Karna Mene Har Lamha Har Pal Bas Tumse Mahobbat Ki,
Me Ja Rahi Hu Chorkar Tumhe.. Ise Meri Bewafai Mat Samajna
Mujse To Khud Meri Hi Taqdeer Ne Meri Jaan Bagawat Ki,
Dekh Rahe Ho Wo Dubta Hua Suraj.. Dekhlo Fir Ek Baar
Aur Meri Nigaaho Ko Uthakar Usne Suraj Ki Aur Kifayat Ki,
Aur Kehne Lagi
Malum Na Tha Mahobbat Me Hamari Din Ek Ye Bhi Aayega
Ki Har Khwab, Har Lamha Mahobbat Ka Chur Chur Ho Jayega,
Janti Hu Dunia Saari Bewafa Kahegi Mere Yaha Se Jane Ke Baad
Par Yakeen Karna Tum Ye Dil Mera Ye Mahobbat Nibhaayega,
Bas Jate Jate Ek Hi Baat Kahungi Tumse Aye Mere Hamdam.
Ki Aaj Is Dubte Hue Suraj Ke Sath Sath
Meri Khusiyo Ka Suraj Bhi Hamesa Ke Liye Dub Jaayega.
Kisi ka pehla pyar banna koi bari baat
Kisi ka pehla pyar banna koi bari baat
nahi banna hai to kisi ka aakhri pyar,
bano isliye kabhi ye mat socho ki tumse
pehle wo kisi or se pyar karta tha ya,
karti hai kosish ye karo ki tumhare baad
use kisi k pyar ki jarurat hi na pade.
Woh Mujh Ko Chhorh Jaana Chahta Hai
Woh Mujh Ko Chhorh Jaana Chahta Hai
Magar Koyi Bahana Chahta Hai,
Jisse Dil Ki Tarhan Iss Dil Main Rakha
Wohi Ab Dil Dukhana Chahta Hai,
Woh Apni Hansi Ghairon Ko De Kar
Khud Apna Gham Bhulana Chahta Hai,
Main Jis Ki Yaad Main Duniya Ko Bhooli
Wohi Mujh Ko Bhulana Chahta Hai,
Use Ab Kya Ho Dard Ka Ehsaas
Jo Mera Dil Dukhana Chahta Hai.
Ek kasak jo lafzo ki aghosh me sisak rhi thi
Ek dua jo dor arsh pe bhatak rhi thi,
Wo dua jo tote dil se nikl rhi thi
Wo dua jo do labo pe machal rhi thi,
Kash k ek shaam wo lot aye
Ya kash wo shm hi lot aye,
Is dil ne bht tot k usy chaha tha
Hmne Rab se bs usy hi manga tha,
Pr mri dua to kahin arsh pe hi kho gai
Or phr taqdir b andhera orrh k so gai,
Or phr zabt ka daman hmse chot gaya
EK TOOTA HOWA DIL OR BHI TOOT GAYA
Mohabbat ki qasam woh aisa nahin tha,
Mohabbat ki qasam woh aisa nahin tha
Woh apna tha magar lagta nahin tha,
Najane kyun na aaya mujh se milne
Zamane se to woh darta nahin tha,
Tabassum ki thi buri aadat us ko
Woh mujh ko dekh kar to hansta nahin tha,
Mere dil main hai faraz us ki ulfat
Woh mera tha, mere jaisa nahin tha.
Woh apna tha magar lagta nahin tha,
Najane kyun na aaya mujh se milne
Zamane se to woh darta nahin tha,
Tabassum ki thi buri aadat us ko
Woh mujh ko dekh kar to hansta nahin tha,
Mere dil main hai faraz us ki ulfat
Woh mera tha, mere jaisa nahin tha.
Waasta Husn Se Ya Shiddat-E-Jazbaat
Waasta Husn Se Ya Shiddat-E-Jazbaat Se Kya?
Ishq Ko Tery Qabeelay Ya Meri Zaat Se Kya?
Meri Masroof Tabiyat Bhi Kahan Rok Saki
Wo To Yaad Aata Hai Usko Mery Din Raat Se Kya
Piyas Dekhon Ya Karon Fikr K Ghar Kacha Hai?
Soch Mein Hoon K Mera Rishta Hai Barsaat Se Kya
Aaj Usay Fikr Hai Kya Log Kahain Gay Munsif
Kal Jo Kehta Tha Mujhe Rasm-O-Rawayaat Se Kya?
Nafrat k saaye mein palti hai mohabbat
Hathon mein hath hon tu lakeerain mill he jati hain.
Urdu Love Poetry, Love Poetry, Love Picture Poetry,
Main Chahta Hu K Tum Hi Mujhe Ijazat Do
Tumhari Tarha Se Koi Galey Lagaye Mujhe
Hussan ki kashish,
Hussan ki kashish haya se barrh jati hay
Aur be-hayai se hussan tabah hojata hay
No comments:
Post a Comment